Mirza Ghalib Poetry
Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jisy
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jisy
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jisy
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jisy
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jisy
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jisy
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jisy
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jisy
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jisy
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jisy
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jisy
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jisy
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jisy
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jisy...
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jisy...