Ye Chota Sa Kitabcha Mohtram Saleem Rauf Sahib K Deegar Islahi Kitabchon Ki Tarhan Roz Marah Zindagi Me Sarzad Hone Wali Amli Kotahiyon, Deen Se Doori, Maghribiyyat Or Madah Parastana Zehan Ki Islaah K Liye Nihayat Saada, Sasta Or Rawan waqaati Usloob Me Tehreer Ki Gai Aik Umdah kawish Hai. Chand Safhaat Per Mushtamil Zair Tabsarah Kitabcha Ka Mauzo Bachon Ki Islami Tarz Per Taleem_o_Tarbiyat Or Is k Fawaid Ko banaya gaya hai. Dard Mandana Andaaz Me Likhi Gai Aik Khobsorat Islahi Tehreer Hai. Ek Bar Zarur Parheen.. Shukriya...?